ITI

How To Make Extension Box At Home In Hindi Urdu

How To Make Extension Box At Home In Hindi Urdu

Agar Hum Kisi jagah par Ek Se Jyada equipment ko chala na chahte hain toh Hame extension box ki jarurat pad Jati Hai Kyunki Hamare switchboard Me Hame Jyada Se Jyada 2 Hi socket Hote Hain. lekin 2 socket Hamare liye Kafi nahi hote. ISI Liye Hum extension board Laga kar 2 Se Jyada equipment Ko Hum Vahan par connect kar sakte hain.

Market Mein Hame Kai tarake extension box dekhne ko Milte Hain kuch me 2 se 3 socket hoti hai aur kuch Mein Hame 4 se 5 socket dekhne ko milegi. Lekin extension board Kafi Mahange Hote Hai. isiliye aapko Jyada Bade extension board ke liye Jyada paise dene padte Hain lekin agar aap Ghar par extension board Banayenge to aap kam paise Mein Ek accha extension board bana sakte hain. Is post main aapko how to make simple extension board, how to make electric switch board, how to make extension board wiring, switch board connection diagram ke baare mein Puri Jankari De Jayegi.

Extension Box Bnane Ke Liye Kya Chahiye

Neeche aapko extension box ke liye Jo Jo material chahiye uski list De Gayi Hai Iss list mein aap gang box ka size apni socket ki jarurat ke anusar Le. Agar aapko 2 socket ki jarurat hai. 2 gang box ka size 8×3 hona chahiye. jis mein aap 2 Switch aur 2 Socket ke Sath 1 Indicator bhi Laga sakte hain.Is prkar agar jyada socket lagani hai to Jyada Bada Gang Box le.

  1. Gang Box (Size Socket ke According Le)
  2. Socket (Apni jarurt Aur gang box ke anusar Le)
  3. Switch (Jitni Socket Utne Switch )
  4. 3 Color ki Wire ( Red,Black ,Green)
  5. Electrical Tools (Screw Driver , Plier , Wire Stripper)
  6. 3 pin plug (1 )

Wire ki lambai aap apni jarurat ke hisab se le . Kitni Dur aap extension board Rakhna Chahte Hain Vah Distance Measure karle aur Us se 2 Ft. Wire jyada Lele .

Socket Switch Laga Kar Assemble Kare

Ab aapko Sabhi socket or switch Ko Gang Box Par set kar dena hai. Socket or switch ke saath mein aapko Screew bhi diye Jate Hain Jin ki madad se aapko Socket or switch extension board par set kar sakte hain.

Electric switch board diagram

Niche aapko extension box ka wiring diagram Diya gaya hai. is diagram according extension box me 4 socket or 1 switch hai. To Jab switch ON hoga toh Sabhi socket mein Bijli aa Jayegi.

Phase Wire :- Phase fire ko sabse Pehle switch ke upar lagana hai. Aur Switch ke Doosre terminal se aapko Wire Leni hai aur bhai Sabhi socket ke Niche wale terminal par Lagani Hai Aur Yeh Baat Ka Dhyan Rakhe ki Sabhi Shaukat par Ek Taraf Kehi terminal parPhase Ki Wire Lagaye Jaisa ki Upar photo mein aap dekh sakte hain .RED Wire Ka connection socket par kis Taraf Hai Usi Tarah aap ko connection karna hai.

Neutral Wire :-Neutral Taar Ko aapko socket ke Doosre terminal par lagana hai. Upar diagram main aap dekh sakte hai ki Blue Wire Sabhi socket ke Doosre terminal ko aapas Mein Jodti hai . aur sabse Aakhir wali socket par neutral wire Lagaya gaya hai. Isi Tarh aapko Iska connection karna hai .

Earthig :- Agar aap apni extension box par koi Bada appliance chalana chahte hai jaise ki refrigerator, washing machine. toh in appliance ke liye earthing ki viaWire Hona zaroori hai. ISI liye aap ko Shaukat ke sabse upar wale terminal ko earthing wire se jodna hai. aur agar aap apne extension box par koi Bada appliance nahi Lagana Chahte toh aapko earthing wire lagane ki jarurat nahi hai.

Extension board Wiring Connection

Yaha par aapko 1 socket Ke Saath Mein 1 switch ka diagram Dikhaye gaya hai. To aap dekh sakte hai ki black wire Sabhi socket ke Right terminal Ke Saath Mein Jodi Gayi Hai. aur red wire Sabhi switch Ke Saath Mein Jodi Gayi Hai. aur switch ke Doosre terminal se socket ka dusra terminal Joda gaya hai. Is Se AAP sabhi soket ka alag alag istemal kar sakte hain aur Main alag se ON Ya Off kar sakte hai.

To is Prakar aap Sabhi Wire ka connection karne ke baad apne Gang Box ko Screw driver ki madad se band karde. Aur aapka Extension box tyar hai .Is post me aapne sikha how to make extension box at home switch board connection diagram how to make extension board wiring how to make extension board at home Agar iske alwa aapka koi bhi sawal ya sujhav hai to neeche comment karke puchhe .

Related Articles

One Comment

  1. Very Good explanation given by you for both types of extension board. Very useful for common man. Thank you .

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button