Solar System

4 Battery Ki Jagah Ye 1 Battery Chalaayegi AC, Cooler, Pankhe

4 Battery Ki Jagah Ye 1 Battery Chalaayegi AC, Cooler, Pankhe

Market me lead acid battery ki jagah dhire-dhire lithium battery lene lagi hai.Ab lithium battery ka upyog EV ke sath-sath solar system me bhi hone lag gaya hai.Lithium battery upyog karne ka sabse bada karan iske andar milne wale features hote hain.Kyunki lithium battery maintenance free battery hoti hai.

Lithium battery ki life sabhidan lead acid battery se kai guna jyada hoti hai. Isiliye ab lithium battery dhire-dhire adhik upyog hone lag gai hai.Isi ke sath market me ab kai lithium battery banane wali companies bhi aa gai hai.Unhen me se ek company ka naam hai LitpaX, jo ki EV, street light ke sath-sath solar system ke liye bhi lithium battery banati hai.

Litpax lithium Battery Price in india

Is company me aapko kai alag-alag size aur alag-alag device ke liye lithium battery milne wali hai isliye un sabhi lithium battery ki kimat bhi alag-alag ho jati hai.Jitni adhik Capacity ki lithium battery loge iski kimat utni adhik ho jayegi.Niche aapko unki kuchh alag-alag battery ki kimat ke bare me bataya gaya hai.

60v 30ah lithium phosphate battery price in india

Yeh battery E scooter ke liye upyog ki jaati hai.Is battery me aapko 1.8kWah ki power milti hai jisse ki scooter ko 85+km ka backup milta hai. Agar is battery ki tulna lead acid battery se ki jaaye to yah 150Ah ki 2 battery ke barabar power degi. Do lead acid battery aapko lagbhag ₹30000 me milti hai.Aur yah lithium battery bhi aapko lagbhag ₹30000 me hi mil jayegi.

Litpax 48 V 24 Ah Lithium Battery price in india

Is battery ka upyog bhi jyadatar is scooter me kiya jata hai halanki agar aap apne solar system ke liye bhi itni hi capacity ki battery chahte hain to vah bhi Litpax company me mil jayegi.Is battery ki khas baat yah hai ki iska weight lagbhag 10 kilo hai aur iski kimat lagbhag ₹20000 hai. Agar is battery ki tulna lead acid battery se karen to yah 150Ah ki battery ke barabar power degi aur weight me use 5 guna halki hai.

Litpax Lithium Solar Battery 12.8v 18ah battery price in india

Yeh battery solar system ke liye banayi gai hai.Jahan aap 40Ah ki lead acid battery ka upyog karna chahte hain wahan per is lithium battery ka upyog kar sakte hain.Yeh battery aapko lead acid battery ki kimat me hi mil jaati hai lagbhag ₹4000 me yah battery mil jayegi.Lekin is battery ke fayde lead acid battery se kahin jyada hai. Aur weight ki baat karen to lead acid battery me lagbhag 15 kilo weight hota hai.Aur is lithium battery me lagbhag 2 keji weight hai to ise aap badi aasani se kahin per bhi le ja sakte hain.

Litpax Lithium Solar Battery 51.2v 100ah battery price in india

Is battery ka upyog solar system me kiya jata hai aur is battery ki sabse khas baat yah hai ki yah char lead acid battery ke barabar power degi.Char lead acid battery aapko market me lagbhag ₹60000 me mil jayegi.Jise aap lagbhag 5 se 6 sal bad fir se badalenge to fir se aapko ₹60000 lagne padenge.To aapko 10 sal ke liye lead acid battery 120,000 rupaye me padegi.

Vahi yah Land seat battery 10 Sal Tak Chalegi aur yah market Mein lagbhag 90 hazar rupaye Mein mil Jayegi. Iske alava yah battery light acid ke mukabale Jyada surakshit battery hai aur is battery ka vajan lagbhag 50 kg hai agar aap Char lead acid battery Lenge to Unka vajan lagbhag 250 kg Hoga aur vah battery Iske mukabale Char Guna Jyada Jagah Legi to is Baat se aap andaza Laga sakte hain ki mukabale Lithium battery Kitni jyada faydemand hai.

Lithium battery ke fayde

Vaise To  lead acid ki tulna me lithium battery ke bahut sare fayde hote hain.Iske bare me niche vistar purvak bataya gaya hai.

  1.  Long lifespan Lithium battery me lagbhag 3000 life cycle milte hain. Jiske karan is battery ki lifespan 10 sal se lekar 20 sal tak ho jati hai yah nirbhar karega ki aap lithium battery ko kitna upyog karte hain.
  2. Low self-discharge rate Dusri battery ke mukabale lithium battery ka self-discharge rate bahut kam hota hai jisse ki agar aap lithium battery ko charge karke rakh denge to yah lambhe samay tak charge hi rahegi.
  3. High energy density Lithium battery ka sabse bada fayda yah hai ki yah lead acid battery ki tulna me per unit weight or volume me jyada bijli store kar sakti hai. Yani ki jahan aapko char lead acid battery lagani padti hai wahan aap ek lithium battery laga kar apna kaam chala sakte hain.
  4. Low maintenance Lithium battery ki koi bhi maintenance nahi hoti.Vahin lead acid battery me aapko bar-bar pani dalne ki aavashyakata hoti hai.Agar samay per pani na dala jaaye to lead acid battery bahut jaldi kharab ho jaati hai.To yah sabhi dikkat lithium battery me aapko dekhne ko nahi milegi.
  5. Safety Lead acid battery charging ke samay kafi haanikaarak gas chhodti hai.Jiske karan use aapko kisi akele aur khule kamre me rakhna padta hai.Lekin lithium battery me aisi koi dikkat nahi hoti isiliye yah lead acid se jyada surakshit maani jaati hai.

Conclusion

Aane wale samay me lead acid battery aapko dekhne ko nahi milegi iski jagah lithium battery ka upyog kiya jaayega.To agar aap bhi naya solar system laga rahe hain to wahan per aap lithium battery laga sakte hain. To ab aapko pata chal gaya ki lithium battery lagane ke kitne jyada fayde hain aur kaun si lithium battery aapke liye adhik sahi rahegi agar iske bare me aur kuchh bhi sawal ho to niche comment karke poochh sakte hain.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button